Total Pageviews

Sunday, 16 February 2014

Churiyaa.n ..




Wo jab bhi meri kalai pakadta hai.. lagta hai jeise meri churiyaa.n laya ho..
Khanakti churiya jeise awaaz karti hai..dhadkan us waqt kuchh yun khanakati hai..
Rang jeise hazaar mil jaate hai kalai me.. zindagi phir kuchh yun rangeen lagti hai..
Pakad ke kalai jab wo sath chalta hai..khwaabo.n ki churiyo.n ka phir saaz bajta hai..
Laal... hari.. nili churiyaa.n.. suhagan ka wo singaar churiyaa.n..  
Usake sath hone par jeise ye sab mil jaati hai.. suhagan ki bindi mathe par khil jaati hai..
Muskura kar wo mujhe apna banata hai..churiyo.n ki khanak mujhko sunata hai..
Reh jaati hai naa phir koi zaroorat kisi ki.. is tarah meri suni kalai mein wo churi pehnata hai..

 ( Picture courtesy @SunnyParampil )