Tum ladti kyu nhi mujhse..
Ek din jhunjhala kar wo puchh baitha..
Me tumse baat karte karte kaheen kho jata hun..
Tumhe apni sunaani hoti hai..Me apni suna kar bhag jata hun..
Kabhi waqt pe nhi milta tumse..Ya yun kahun waqt nhi mere pas tumhare liye..
Tum phir bhi jab milti ho to Tumhari ankho me wahi pyar dikhta hai mujhe..
Tum ladti kyu nhi..Tum bigadti kyu nhi..Bolo kuchh..Bolti kyu nhi..
Main..Main ladu tumse?? Bigadu tum par..Tumhe chale jane ka bahana de dun?? Tum chahte ho jo hak tumne mujhe diya hi nhi..
Tumse main wo hak le lun??
Ek sannata chha jata hai.. or wo mujhe gale se laga leta..