Total Pageviews

Saturday, 12 January 2013

Chaar din ki mohabbat.. Chaar din ka sath..




Chaar din ki mohabbat.. Chaar din ka sath..
Tamaam khushiya.. har dard ka ehsaas.
Jee liya har lamha.. khudko muskurata dekh kar..
Wo laya ek junun.. ek zarurat apne sath..
Ab badal gaya hai wakt zara..ab zara wo shakhs bhi wo na raha..
Kuch khata mujhse bhi hui hogi.. 
Kuch to raha hoga mera or nadani ka sath..
Yunhi to nahi chhoda usane..yunhi to nahi hui koi baat..
Kuch alfaz.. chand yaade dekar gaya hai..
Ab jo wo nahi hai to hui hai khudse mulakat..
Shikayat to hai magar kisase hai pta nahi..
Ruth jaun usase ya karu bagawat apne sath..
Nahi hai ham kabil-e-mohabbat to kya kare..
Kese kare khudko behtar har tabahi ke baad..
Mere ashqo se jo itani hi shikayat hai tumhe..
Kyu phir yun chhod gaye ho hame bheegi palko ke sath...
Har baar apne dard ko lafzo se sajaya hai..har baar inhe tujhko sunaya hai..
Ab tu nahi hai yaha to kahaan jaye..jakar ye dard kise sunaye.. 
Lagta hai ab sambhal jana hoga mujhko..
Nahi hai ab tu takdeer meri..nahi hai ab tu mere pass..
Chaar din ki mohabbat..chaar din ka sath..
Itna hi the khushiya,... itna hi tha qaraar..

2 comments: